saaraa aalam gosh bar aawaaz hai

Saaraa aalam gosh bar aawaaz hai
aaj kin haathoN meiN dil kaa saaz hai

haaN zaraa jurrat dikhaa ae jazb-e-dil
husn kou pardey pai apney naaz hai

kam-nasheeN dil ki haqeeqat kiya kahuN
soaz meiN doobaa huaa ik saaz hai

aap ki makhmoor aankhon ki qasam
meri maikhwaari abhi tak raaz hai

hans diye woh merey roney par magar
unn key hans deney meiN bhi aik raaz hai

chhup gaye woh saaz-e-hasti cheR kar
ab to bas aawaaz hi aawaaz hai

husn kou naahaq pashemaaN kar diya
ae junooN yeh bhi koi andaaz hai

saari mehfil jis pai jhoom utthi Majaz
woh tou aawaaz-e-shikast-e-saaz hai

Asrar-ul-Haq Majaz

Re: saaraa aalam gosh bar aawaaz hai

Perda Hai Perda :p

Re: saaraa aalam gosh bar aawaaz hai

pardey mein rehne do...

Re: saaraa aalam gosh bar aawaaz hai

bahot umda Ghazal pesh karne kaa shukria. :) yeh she'r mujhe nisbatan ziyaada pasand aayaa:
**
hans diye woh merey roney par magar
unn key hans deney meiN bhi aik raaz hai**

Re: saaraa aalam gosh bar aawaaz hai

thankoo....

Re: saaraa aalam gosh bar aawaaz hai

us k hansnay mein kya raaz hai?

Re: saaraa aalam gosh bar aawaaz hai

:k: