Saaqiyaa ik nazar jaam se pehle pehle

*saaqiyaa ik nazar jaam se pehle pehle
ham ko jaanaa hai kahin shaam se pehle pehle

khush huaa ai dil ke muhabbat to nibhaa di toone
log ujad jaate hain anjaam se pehle pehle

ab tere zikr pe ham baat badal dete hain
kitani raghabat thi tere naam se pehle pehle

saamane umr padi hai shab-e-tanhaa_i ki
vo mujhe chhod gayaa shaam se pehle pehle
*
~*****~
Ahmed Faraz
~*****~

Re: Saaqiyaa ik nazar jaam se pehle pehle

nice..

Re: Saaqiyaa ik nazar jaam se pehle pehle

Nice .

Re: Saaqiyaa ik nazar jaam se pehle pehle

Very Nice......................:)