Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe

Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe
Zindagi Ghairnay Waali Hai Azaabon Mein Mujhe

Ek Tasveer Thi Aur Wo Bhi Kaheen Guum Kar Di
Umer Bhar Dhoondna Ab Apni Kitaabon Mein Mujhe

Jab Se Utra Hai Tere Dard Ka Nasha Mujh Mein
Lutf Aata Nahi Duniya Ki Sharaabon Mein Mujhe

Wo Mujhe Chhorr Gaya Tha Kisi Rangeeni Mein
Wo Jo Ab Dhoondta Rehta Hai Kharaabon Mein Mujhe

Tum Ne Ek Umer Kia Hai Nazar Andaaz “Wasi”
Aur Ab Dhoondtay Phirtay Ho Saraabon Mein Mujhe

20 Snakes Wallpapers » Barbaras HD Wallpapers

Zaroob-o-Taqseem “Wasi” Ishq Mein Laa Haasil Hai
Jaanay Kiun Khojtay Rehtay Ho Hisaabon Mein Mujhe ?

Re: Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe


Restored attachments:

Re: Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe

*Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe
*

Anaconda movie dekh kar sota hoga

*Jaanay Kiun Khojtay Rehtay Ho Hisaabon Mein Mujhe ?
*

Accountant hoga

Re: Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe

Mathematician bhi to ho sakta hai.