Saamnay aa key nigaahoon ko churaata kiyoon hay

**Saamnay aa k nigahoon ko churata Q hay…??
Hay ager piyaar ussay bhi to chuppata Q hay…??

Chain din mein hay ussay aur na raatoon ko sakoon…
Itnee qurbet hay to phir rooth k jaata Q hay…??

Youn to main bhool gaya hon ussay maazi ki tarah…
Dil ko her waqt mager yaad woh aata Q hay…??

Teri faryaad sunni hay na sunnay ga koi…
Phir bhi tu haath dua`on ko uthaata Q hay…??**

Re: Saamnay aa key nigaahoon ko churaata kiyoon hay

[QUOTE]
Teri faryaad sunni hay na sunnay ga koi...
Phir bhi tu haath dua`on ko uthaata Q hay...??

[/QUOTE]
Woh bara raheen o kareem hai
mujhey ye sifat bhi ata karey
tujhey bhoolne ki dua karon
tou Dua mai meri asar na ho

Re: Saamnay aa key nigaahoon ko churaata kiyoon hay

Q ho :emmy:

Re: Saamnay aa key nigaahoon ko churaata kiyoon hay

Yaad ik zakhm ban gayee warna
Bhool jane ka kuchh khyal to tha...

**Zindagi Ki Har Fizaon mein Yaad Rakhna,
Dil KI Sadaon Mein Yaad Rakhna,

Yahi Tohfa Buhat Hai Apka Mere Liye,
Khuloos-e-Dil Se Duaon Mein Yaad Rakhna.......!!!!

**