salaam dosto,
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge! ![]()
mulaaHiza aur samaa’at farmaaiye SaaHir Ludhianvi kii ek mash’hoor o ma’roof filmii nazam…ummeed hai k pasand aayegii…shukria:
(aaj is darja pilaa do k na kuchh yaad rahe)-2
be_khudii itnii baRhaa do k na kuchh yaad rahe
aaj is darja pilaa do k na kuchh yaad rahe
dostii kia hai, vafaa kia hai, moHabbat kia hai
dil kaa kia mol hai, ai’Hasaas kii qeemat kia hai
hamne sab jaan liyaa hai k Haqeeqat kia hai
aaj bas itnii du’aa do k na kuchh yaad rahe
aaj is darja pilaa do k na kuchh yaad rahe
muflisii dekhii, ameerii kii adaa dekh chuke
Gham kaa maaHaul, masarrat kii fazaa dekh chuke
kaise phirtii hai zamaane kii havaa dekh chuke
shamm’a yaadoN kii bujhaa do k na kuhch yaad rahe
aaj is darja pilaa do k na kuchh yaad rahe
'ishq be_chai’n KhyaaloN ke sivaa kuchh bhii nahiiN
Husn be_rooH ujaaloN ke sivaa kuchh bhii nahiiN
zindagii chand sawaaloN ke sivaa kuchh bhii nahiiN
har sawaal aise miTaa do k na kuchh yaad rahe
aaj is darja pilaa do k na kuchh yaad rahe
miT na paayegaa jahaaN se kabhii nafrat ka rivaaj
ho na paayegaa kabhii rooH ke zaKhmoN kaa ilaaj
(saltanat, zulm, Khudaa, vai’hm, museebat hai samaaj)-2
zehn ko aise sulaa do k na kuhch yaad rahe
aaj is darja pilaa do k na kuchh yaad rahe
be_Khudii itnii baRhaa do k na kuchh yaad rahe
aaj is darja pilaa do k na kuchh yaad rahe!