Saahilon ki Hawa

main teray sung kaisay chaloon sajna
tu samandar hai main saahilon ki hawa

tu mera haath hathon main lay lay chalay
mehrbaani teri mehrbaani teri
aahat se dil ka dareecha khulay
main deewani teri main deewani teri

tu ghubar_e_safar main khizan ki sada
tu samandar hai main sahiloon ki hawa

tu bahaaron ki khushbu bhari chaaon hai
main sitaara tera main sitaara tera
zindagi ki zamanat tera naam hai
tu sahara mera tu sahara mera

main ne sari khudai main tujh ko chuna
tu samandar hai main sahilon ki hawa
main teray sang kaisay chaloon sajna tu
samandar hai main sahilon ki hawa

tu chalay to sitaray b chalnay lagay
ansowon ki tarah ansowon ki tarah
khwab hi khwab ankhon main jalnay lagay
arzu_on ki tarah arzu_on ki tarah

teri manzil banay mera har rasta
tu samandar hai main sahilon ki hawa
main teray sung kaisay chaloon sajna
tu samandar hai main sahilon ki hawa

Re: Saahilon ki Hawa

is ka urdu version nai hay kaya :bummer:

Re: Saahilon ki Hawa

Nahi hai :zobo:

Aap bhi kuch kar len.

Re: Saahilon ki Hawa

:@:

Re: Saahilon ki Hawa

mai kaya karon :@:
mai ne tu suba se ab tak urdu hi urdu post ki hay :@: