bhuulii huii sadaa huun mujhe yaad kiijiye
tum se kahin milaa huun mujhe yaad kiijiye
**manzil nahin huun Khizr nahin rahazan nahii.n
manzil kaa raastaa huun mujhe yaad kiijiye **
**merii nigaah-e-shauq se har gul hai devataa
main ishq kaa Khudaa huun mujhe yaad kiijiye **
**naghmon kii ibtidaa thii kabhii mere naam se
ashkon ki intehaa huun mujhe yaad kiijiye **
**gum-sum khari hain dono jahaan kii haqiiqate.n
main un se kah rahaa huun mujhe yaad kiijiye **
**“Sagar” kisii ke husn-e-taGaaful shaar kii
bahakii huii adaa huun mujhe yaad kiijiye **