ASA
1
**
Saaf zaahir hai nigaahoN se k hum marate haiN
muuNh se kahate huye ye baat magar Darate haiN
Ik tasweer-e-muhabbat hai javaanee goyaa
jis meiN rangoN K ivaz Khoon-e-jigar bharate haiN
Isharat-e-raftaa ne jaa kar na kiyaa yaad hamaiN
isharat-e-raftaa ko ham yaad kiyaa karate haiN
AasmaaN se kabhe dekhi na gae apanee Khushee
ab ye haalaat haiN K hum haNsate hue Darate haiN
Sher kahate ho bahut Khuub tum “Akhtar” lekin
achy shaayar ye sunaa hai ki javaaN marate haiN
**
Nice :k:
ZubaaN pah baat hai lekiN
Sunaanaa hee naheeN aata
ASA
4
Shukria.... WiseGuy & BrokenSky :)
Azad
6
Sher kahate ho bahut Khuub tum “Akhtar” lekin
achy shaayar ye sunaa hai ki javaaN marate haiN
Wah :k:
yeh bhi khoob kahi .. hum to 2 dafa maray hain is lihaz say to haimain shair hona chahiay tha .. jo hum nahi hain 
ASA
7
Thanx Mamba,, waisy iss dafa aap ne jawaab maiN kuch post nahi kya... :)
ASA
8
thanx…
waisy aik dafa ka to andaza hai…
dostree baar kab maray
koii aur wajah hogi jo aap abhe tak achy nahi haiN… sirf shaair haiN 
Azad
9
humm sochnay wali baat hay .. par ab sochay kon
ASA
13
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
humm sochnay wali baat hay .. par ab sochay kon
[/QUOTE]
KioN Azad sb.... BADAAM bouhat mehange hogaye kya??? :)
ASA
14
thanx... HeArT HaCKeR, koiDost & Galaxy :)
AasmaaN se kabhe dekhi na gae apanee Khushee
ab ye haalaat haiN K hum haNsate hue Darate haiN
Wah :biggthumb