agarche kaam mushkil hai, magar yeh kaam karna hai
kisi agaz par lakar, usai unjaam karna hai
meri ankhon ne dekha hai,hudoode shaam se agai
mujhe roshan sitara bhee,sahar ke naam karna hai
woh shayed mujh se behtur hain,jinhai maloom hai itna
ke rukna hai kahan jakar,kahan araam karna hai
zamanai se gila kaisa,ke yeh tu hota aya hai
mujhe budnaam hona hai,usai budnaam karna hai
kahani likh kar becho tum,koi novel hi likh dalo
agar tum nai mohabbat ko,yun hi nilaam karna hai
bohat kuch Saad kehna hai,bohat kuch dil main rakha hai
bohat si khas si batain hain,jinhain ab aam karna hai
written by SAAD-ULLAH SHAH