rutha zara c baat per uth ker chala gaya

http://1.bp.blogspot.com/-0PQKMcDXd9o/U3vMu38nRXI/AAAAAAAABcM/xu70hAzHurQ/s1600/5825.jpg

**
Chehra koi bhi aankh0n me tehra na phir kabhi.
Dil ne kisi bhi shakhs k0 chaha na phir kabhi.

Rotha zara C baat pe uth kar chala gaya.
Aesa gaya k l0t k aaya na phir kabhi.

Kuch yu’n mila tappaak se bas ishq h0 gaya.
W0 ajnabi tha? kon tha? Socha na phir kabhi.

Us ne ba’toor-e-tuhfa diya tha libaas-e-hijar.
Pehna j0 aik baar utaara na phir kabhi.

Daikhe j0 za’iif kandhon pe mehnat k jab nishaan.
Bach0n ne kuch bhi baap se manga na phir kabhi.

D0lat mili t0 chin gai ehsaas ki qabaa.
Us ne mera mizaaj bhi pocha na phir kabhi.

Nazish guzar chuka tha hadd-e-aitaddaal se.
Janay kahaa’n gaya? Usay daikha na phir kabhi.

~Tum kaisi Muhabbat karte Ho~**

Re: rutha zara c baat per uth ker chala gaya

:smash:

muqa :cheer: chalen kam karen

Re: rutha zara c baat per uth ker chala gaya

is mein poetry kidhar hai

Re: rutha zara c baat per uth ker chala gaya

lagta hay Darzi nay gala kuch ziyada he bara bana dia hay :hmmm: