Weraaneyaan muqaddar baneen, ek tere jaanay ke baad
Mehromeyaan muqaddar baneen, ek tere jaanay ke baad
Phaila huwa ab tu chaar sou andhera hai
Tarekeyaan muqaddar baneen, ek tere jaanay ke baad
Be-raunaq meri tarah ghar ke dar-o-dewar bhi hain
Udaseyaan muqaddar baneen, ek tere jaanay ke baad
Dhaltay souraj, taptay sehra aur khizaan raseda pattoon se
Shanaseyaan muqaddar baneen, ek tere jaanay ke baad
Hotay hain har taraf se ab isharay meri jaanib
Ruswaeyaan muqaddar baneen, ek tere jaanay ke baad
Dar khula rakhtay hain ke shayad tu aaye kabhi
Khush fehmeyaan muqaddar baneen, ek tere jaanay ke baad