rukey tu gardisheen us ka tawaf kerti haiN...

I know its long but its one of my all time favorite. Faraz nay darya ko kozay main band ker dia hai.


sunaa hai log use aankh bhar ke dekhate haiN
so us ke shahar meeN kuchh din Thahar ke dekhate haiN

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haalooN se
so apane aap ko barbaad karake dekhate haiN

sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
so ham bhi us ki gali se guzar kar dekhate haiN

sunaa hai us ko bhi hai sher-o-shaayari se shagaf
so ham bhi mojaze apane hunar ke dekhate haiN

sunaa hai bole to baatooN se phuul jhartey haiN
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate haiN

sunaa hai raat use chaand takata rahata hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate haiN

sunaa hai hashr haiN us ki ghazal si aankheeN
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate haiN

sunaa hai din ko use titaliyaaN sataati haiN
sunaa hai raat ko jugnuu thahar ke dekhate haiN

sunaa hai raat se barh kar haiN kaakulen us ki
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate haiN

sunaa hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate haiN

sunaa hai us ke labooN se gulaab jhartey haiN
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate haiN

sunaa hai aaiinaa tamasaal hai jabeeN us kaa
jo saadaa dil haiN ban sanvar ke dekhate haiN

sunaa hai jab se hamaail haiN us kii gardan meeN
mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhate haiN

sunaa hai chashm-e-tasavur se dasht-e-imkaan meeN
palang zaave us kii kamar ke dekhate haiN

sunaa hai us ke badan ke taraash aise haiN
ke phuul apani qabaayeeN katar ke dekhate haiN

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahi
ke us shajar pe shagufe samar ke dekhate haiN

bas ek nigaah se lutataa hai qaafilaa dil kaa
so rah-ravaan-e-tamannaa bhi dar ke dekhate haiN

sunaa hai us ke shabistaan se mutasil hai bahisht
makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate haiN

ruke to gardisheeN us kaa tavaaf karatii haiN
chale to us ko zamaane thahar ke dekhate haiN

kise nasiib ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate haiN

kahaaniyaaN hi sahi sab mubalghey hii sahii
agar vo khvaab hai taabir kar ke dekhate haiN

ab us ke shahar meeN thahareeN k kuuch kar jaeeN
‘Faraz’ aao sitaare safar ke dekhate haiN

Re: rukey tu gardisheen us ka tawaf kerti haiN…

:help: decent decent

NW: he is on the way.

Re: rukey tu gardisheen us ka tawaf kerti haiN…

Nice poetry :k:

Re: rukey tu gardisheen us ka tawaf kerti haiN...

is kalaam ko itnii baar paRhaa k ab iskaa mujh par koii asar nahiiN hotaa...lol...yaa to yeh ab be-asar ho gaii hai yaa phir maiN hii be-Hisii kaa shikaar ho gayaa huN...:p

Re: rukey tu gardisheen us ka tawaf kerti haiN...

umer ka taqaza hai KKF :)

PS: Kalam ki umer nahi aapki umer :D

Re: rukey tu gardisheen us ka tawaf kerti haiN…

jaan pyaarii nahiiN kia jo aise comment dete ho chachaa jaan? :smiley: :cb: :wink: public meN to aise nahiiN kahte…abhii to apun kii shaadii bhii…:frowning: hehe :stuck_out_tongue:

Re: rukey tu gardisheen us ka tawaf kerti haiN…

lovely sharing :k:

Re: rukey tu gardisheen us ka tawaf kerti haiN…

KKF ab kis cheez ka intezar hai.. Bismillah karen aur do bol padhwae.. :wink:

Re: rukey tu gardisheen us ka tawaf kerti haiN...


"do bol" yaa 'teen bol"? do baar kahne par to qaazii razamand nahiiN hogaa aur na hii 'UN' ke Abba Huzoor! :D

Re: rukey tu gardisheen us ka tawaf kerti haiN...

Maine do bol padhwane ko kaha hai.. waise aap ko qabool hai kehne ki zaroorat nahin pade gi.. peeche se hi koi 3 dafa aap ka sir hila dega aur khamoshi razamandi samajh le jae gi :D