Ruka Ruka Sa Tabassum Khafa Khafa Aankhain..

Mohsin Sahab Ki Aik Ghazal, Jo Mainay Abhi Abhi Kaheen Parhi Socha Share Kara Doon,

Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhain
Barha Rahi Hain Nigahon Ka Hosla Aankhain

Jo Dil Main Asks Hai Aankhon Se Bhi Wo Chalkay Ga
Dil Ayena Hai Magar Dil Ka Ayena Aankhain

Wo Ek Sitara Tha, Janay Kahan Gira Hoga
Khala Main Dhoond Rahee Hain Na Janay Kia Aankhain

Qareeb-E-Jaan Dam-E-Khalwat Magar Sar-E-Mehfil
Hain Ajnabi Se Bhi Barh Ker Wo Aashna Aankhain

Gham-E-Hayaat Ne Fursat Na Di Thehernay Ki
Pukaarti He Raheen Mujh Ko Sada Aankhain

Tabahion Ka Kisi Ne Ager Sabab Poocha
Zaban-E-Haal Ne Bay-Sakhta Kaha Aankhain

Jhatak Chuka Main Gard-E-Malaal Chehray Se
Chhupa Sakeen Na Magar Dil Ka Maajra Aankhain

Ye Uss Ka Tarz-E-Takhatub Bhi Khoob Hai Mohsin
Ruka Ruka Sa Tabassum Khafa Khafa Aankhain

Umeed Hai Aap Logon Ko Bhi Pasand Aye Gi..

Regards,

Re: Ruka Ruka Sa Tabassum Khafa Khafa Aankhain..

gud one:)

Re: Ruka Ruka Sa Tabassum Khafa Khafa Aankhain..

Ye Uss Ka Tarz-E-Takhatub Bhi Khoob Hai Mohsin
Ruka Ruka Sa Tabassum Khafa Khafa Aankhain

bohat khoob!!!!
:)

Re: Ruka Ruka Sa Tabassum Khafa Khafa Aankhain..

nice

Re: Ruka Ruka Sa Tabassum Khafa Khafa Aankhain..

Thank You bheegiyaad, sonia jee n deadsoul :)

Re: Ruka Ruka Sa Tabassum Khafa Khafa Aankhain..

Thanx for brining this ghazal to this forum. Bohat khoobsoorat ghazal hey :k:

Re: Ruka Ruka Sa Tabassum Khafa Khafa Aankhain..

Amal Jee.. Thnx :)