**Ruk Ruk kay apnay dil ko wafa^ooN ka naam dooN
Chehray ko tayray piyar ki chaa^ooN ka naam dooN
Voh maay jo naya day kay nasha mujh ko sambhalay
Ous maay ko mayree jaaN nigahooN ka naam dooN
Is dasht~e~jigar meiN jo khilaiN phool wafa kay
Hur ghunchay ko dilbar ki adaa^ooN ka naam dooN
Jin rastooN pay baj uthaiN anjaa~e~jaltarang
In raastooN ko maiN tayray ghar ka naam dooN
Jis nay mayree nazar ko nazarah bana diya
Manaan! Ousay main apni dua^ooN ka naam dooN**