dil garm hai, koii ruKh-e-zebaa bhii na ho
jaaN mast o Kharaab, jaam o meenaa bhii na ho
Khud zauq-e-tamaashaa hai miraa kai’f_angez
kia 'ishq vo jis meN Husn itnaa bhii na ho!
Re: rubaa’iyaat-e-vaalid marHoom-8
Ishq wo jis main Husn itna bhi na ho. Kia baat hai :k:
waise ishq ki shroo’aat to mehboob ke kisi ada ya khoobi se hi hoti hai, aur ziada ter husn hi pehli dafa mutawaja karne ka ba’is hota hai
Re: rubaa’iyaat-e-vaalid marHoom-8
pasandeedgii ke liye bahot bahot shukria aapkaa ![]()
aapne bilkul durust farmaayaa magar shayaad yehii farq hai 'ishq-e-Haqeeqii aur 'ishq-e-majaazii meN! ![]()