rubaa'iyaat-e-vaalid marHoom-1

vaalid marHoom ne koii 100-150 rubaaiyaaN kahii thiiN magar un meN se beshtar ab door az dast-e-ras haiN…joo moyassar haiN unheN maiN yahaN silsilvaar pesh kartaa rahuuNgaa taa waqt-e-aaN k aHbaab kii dil_chaspiyaan bar_qaraar raheNgii. shukria.
**
sun mujh se nahiiN k hai jahaan-e-guzaraaN
tadbeer na taqdeer kii ta’beer yahaaN
haiN maut o Hayaat Khowaab donoN, lekin
yeh Khowaab-e-parishaaN hai na vo Khowaab-e-giraaN**

Re: rubaa’iyaat-e-vaalid marHoom-1

Wah :lajawab:

Re: rubaa’iyaat-e-vaalid marHoom-1

LIKING ke liye shukria janaab…bahot bahot karam, navaazish! :slight_smile:

Re: rubaa’iyaat-e-vaalid marHoom-1

bohat alaa :lajawab: