Meray naseeb main kab hay bahaar ka mosam,
Theher gya hay teray intazaar ka mosam.
Meray deyaar main aisay bhi log rehtay hain,
Mila nahi hay jinhen rozgaar ka mosam.
Fiza beheknay lagi ha sharaab khanay ki,
Ye kis ki aankh main dekha khumaar ka mosam.
Meri wfa hay ghalat femiyun k narghay main,
Meray khilaaf huwa koo e yaar ka mosam.
Zamana aj bhi laita hay imtehaan e wafa,
kisi ko raas na aya ye pyaar ka mosam.
Chalay bhi aao k ab dastaras main hay Mohsin,
Guzar na jaye kahi ikhteyaar ka mosam…