mere gaaoN meN har saal koii na koii naqqaarah bajaane kii zimmedaarii liyaa kartaa thaa...ek saal mujhe yaad hai, mere vaalid ne bhii lii thii...aur yeh bhii yaad hai k maiN aur bhai bahen baarii baarii iftaar ke liye naqqaarah bajaayaa karte the aur seHrii meN chuuN k der tak bajaanaa paRtaa thaa is liye mere to haath dukhne lagte the...
phir ham log, laRke log aur do ek adult ke saath gali gali jaayaa karte aur ba-aawaaz-e-baland kahte, "saHrii ke liye uTho, sawaab Haasil karo...'as-sahriio Khair um minan naum' [sahrii sone se bahtar hai!] hehe...aur Khoob hangaame karte...jinke gharoN se aawaaz na aatii yaa jinke gharoN meN raushnee na dikhtii, unke darvaazoN kii zanjeereN khaTkhaTaa kar jagaate...log duhaaiyaaN dete k jage huoN ko kiuN jagaate ho? lol
naqqaare kii aawaaz meN Tanak paidaa karne ke liye ham dopaher ke ba'd use taiyaar karte...uskii rassiyoN ko tight karte, aaNch dikhaa kar uskii skin ko tight karte...is taraH uskii aawaaz men Tanak aatii thii...
vo bhii kia din the! ab to, ba-alfaaz-e-'allaamah Iqbaal, dil kahtaa hai k:
**
haaN, dikhaa de, ai tasavvur! phir vo subH o shaam tu!
dauR peechhe kii taraf, ai gardish-e-aiyaam tu!**
I don’t remember dhol walas coming at sehri times in our area… We used to wake up on the voice of a molvi’s voice in loud speaker saying ‘Allaah’… One of my cousin used to reply ‘Kaat khae iss mulla ko balla’