Re: Roz soch kar barastay hain mairay anso o laho
Insaniat ko hum judge naheenkarain gaiy to koun karay ga ? Loog bhokay mar rahay hoon, karkhanay band ho rahay hain aur aap kahti hain inn ko bura mat kaho ??? Inn ko he walli ullah samjho aur inn he ko dobra vote daitay raho aur jai namaz bicha kar sirf dua kartay raho ?
Agar sirf duaon he say sub kuch hota to Allah Subhan Ta’la kabhi jahad ka hukam nah daitay. Aur Jihaad yah naheen hay kah golli utha kar maad do , jaibr hukmaran kay samnay Kala Haq buland karna bhi jahad hay. Aur inn Zalim insanoon ka aap kahti hain kah bura nah karo aur jo kartay hain kartay rahany do aur sirf aur sirf dua kartay raho.
Yahi to awareness laani hay Pakistan main yah hukmaran jinhain tum har dafa vote daitay tumharay maseeha naheen hain. aur aab baray maharbai aap yah mat kahna hay har insaan inn he jaisa hay to sirf inn key hidayat kay liye dua kartay rahain aur inn ko poora moqa dain kah Paksitan ko baich kar kha jain …
Aey Tair-e-Lahooti, uss rizq say mout achi
Jis rizq say aati ho, parwaz main kotahi
**Aain-e-jawanmardi, haq goi-o-bay baaqi
Allah kay sheron ko, aati nahin rubaahi
**