mujhay pathar jo kehti hai
usay ye kaun batlayay
k wo masoom o nadan hai
uay maloom he kab hai
judayi ki kathin atain
yadon ki wo barsatain
abhi us nay nahi dekha
baharon ka palat jana
judayi k shararon say
dilon ka rakh ban jana
abhi to us k angan me
khushyon ka basera hai
k us k chanchal chehray pe
sawaira he sawaira hai
suno masoom si larki
tera shokhi bhra lehja
mujhay bay had lubhata hai
magar ek wawasa dil ko
yonhi ek dam darata hai
teray hastay say chehray par
mera saya na hojayay
mujhay jo dard lahaq hain
teray waqif na hojayen
inhin andeshon say dar kar
kisi veeran kamray k
ek tareek goshay main
wo daman ko bhigota hai
yeh pathar roz rota hai
Re: ROZ ROTA HAI...
buhat umda..
Re: ROZ ROTA HAI...
pathar to boht sakht cheez hai bt ap ne usse bhi rula dia. v weldon.
Re: ROZ ROTA HAI...
thx all