**roz ik mo,at chali aati hai milne k liye
roz ik qaber bohat hansti hai hum logoon per
bain sun-ne ki ajab aadat hai
khawab daikhain to syahi c uter aati hai be-na`e mein
khawaishain chho lain to ihsaas sulg uthta hai
bay-hisi jagi hui hai kab se
muntakhib hain koi arwaah jinhain
dard ne bakhshi hai zyarat akser
oar jinhain karb ne apnaya hai
dil shakanjay mein ksa rehta hai oar
mo,at ksay jaati hai
roz ik qaber hansay jaati hai
goonjta hai koi sunata sada,oon mein
to lagta hai ajl boli hai
khushak aankhain k jo rone ko tarsti hain to hairat kaisi
badleyan roz barsti hain to hairat kaisi**