_Suraj
1
Zindagi ko na banaa lain woh saza mere baad
Hausla daina unhain mere Khuda mere baad
Haath uthte huwe un ke na koi dekheyga
Kis ke aane ki karainge woh dua mere baad
Kaun ghoonghat ko uthaeyga sitamgar keh kar
Aur phir kis se karenge woh hayya mere baad
Phir zamaane mein muhabbat ki na pursish hogi
Royegi siskeyaan le le ke wafa mere baad
Woh jo kehta thaa ke ‘Nasir’ ke leye jeeta hoon
Us ka kya jaaneyay kya haal huwa mere baad
WiseGuy
2
Re: Royegi siskeyyan le le ke wafa mere baad
[QUOTE]
Originally posted by ~*Suraj~: *
Zindagi ko na banaa lain woh saza mere baad
Hausla daina unhain mere Khuda mere baad
[/QUOTE]
Bohot khoob Suraj... :)
Azad
3
Re: Royegi siskeyyan le le ke wafa mere baad
Wah :k:
kia tabahi qisam ki posting hay … ** ungliyon say jo tapkay uss laho ki halat hay …
Nice one, Thanks for sharing!