ye kaisa ajab sa khel hai,kabhi khoya kabhi pa k roye
wo kahani to adhoori he rhi,jise suna suna k roye
na chahte b ashkon ko maskan bana lia
kabhi munh chupa kay,kabhi zar zar roye
dil kirchion sa bikhra,lafzon kay teer se
sab kuch tha raizah raizah,kya kya luta k roye
hum ne kabhi na chaha torrain kisi ko pal mai
phir hum kiun toot gaye,hairat daba kay roye
ye kaisa darya hai jo kabhi na bhar saka
kabhi khoon-e-dil bahaya,kabhi ansu baha k roye
kesa ye dil ka hal hai dono na samajh sake
kuch wo suna k roye,kuch hum suna k roye…
Amal
January 12, 2011, 3:47pm
3
Re: ROYE…

Shazia ji bohat achi ghazal kahi aap ney :k: … likhti rahiye aur navazti rahiye
ehsan
January 12, 2011, 3:50pm
4
Re: ROYE…
buahat hee achee ghazal, wah. :k:
Sannan
January 13, 2011, 7:21am
6
Re: ROYE…
ye kaisa ajab sa khel hai,kabhi khoya kabhi pa k roye
wo kahani to adhoori he rhi,jise suna suna k roye
na chahte b ashkon ko maskan bana lia
kabhi munh chupa kay,kabhi zar zar roye
dil kirchion sa bikhra,lafzon kay teer se
sab kuch tha raizah raizah,kya kya luta k roye
hum ne kabhi na chaha torrain kisi ko pal mai
phir hum kiun toot gaye,hairat daba kay roye
ye kaisa darya hai jo kabhi na bhar saka
kabhi khoon-e-dil bahaya,kabhi ansu baha k roye
kesa ye dil ka hal hai dono na samajh sake
kuch wo suna k roye,kuch hum suna k roye…
Shaiza g buhat aala Bus mujhay do Ahsaa’r mein kuch tashnagi mahsoos hoi hay
ye kaisa ajab sa khel hai,kabhi** khoya** kabhi pa k roye
wo kahani to adhoori he rhi,jise suna suna k roye
Agar iss ko kabhi kho k kay kar dain to ziyada rawani mahsoos hogi
ye kaisa ajab sa khel hai,kabhi **kho k ** kabhi pa k roye
Aur dosra she’r
na chahte b ashkon ko maskan bana lia
kabhi munh chupa kay,kabhi zar zar roye
aap akhir mein k laga rahi hain jub kah iss eh’r mein k add naheen howa hay , mein expert naheen hoon leekan mujhay yah kuch darust maloon naheen ho raha hay
iss ko ulat kar dain
**kabhi zara zara , **kabhi munh chupa kay roye
aur shyad yah aap zara zara likhna chah rahi hain
Re: ROYE…
thanx…mai ap ki raye ki tah-e-dil se qadar kerti hun lakin ab mai isse diary mai likh chuki hun so cn’t change it or ye zar zar lagataar wala hai
Sannan
January 14, 2011, 4:48am
8
Re: ROYE…
Waisay ya Zar Zar Ronna mein nay kabhi naheen parha hay
Zaro Qatar Ronna Parha hay mein nay leekan zar zar
Any one Comments please
Re: ROYE…
any one ko na bulain main khud he tishnagi poori ker deti hun…its a right word…go n check lughaat
Sannan
January 14, 2011, 7:58am
12
Re: ROYE…
It seems no one reading poetry deeply Else they must give comment on this word
aik to taseeh karo aur opar say batain suno
rajey
January 15, 2011, 8:22am
15
Re: ROYE...
kesa ye dil ka hal hai dono na samajh sake
kuch wo suna k roye,kuch hum suna k roye...
Yeh ishq ki kudrat thi, ya phair thay samajh ke

thanx n v nice rajey.
KKF
January 15, 2011, 5:01pm
17
Re: ROYE…
**
“zaar zaar” ronaa saHeeH hai…ek she’r kisii ustaad shaa’ir kaa thaa:
kabhii muskuraa ke roye, kabhii zaar zaar roye
yahaN “muskura ke roye” kaa matlab hai “Khushii ke aaNsoo-oN” se ronaa**

thanx Kalil g ap ne tasdeeq ker di