Shuru kerta hooN Allah key naam sey, is dus key sath
“Allah, Zill-e-Subhani la saya hamaisha Mumlikat-e-khudadad pey qaim rakhey”
Mumlikat-e-khudadad aik barey buhraan sey bach gaye. Zill-e-Subhani, (jo key Sipah-salaar-e-azam bhi hain) ki nazar ney bhaanp liya ke, Qazi-ul-Qaza bad-unwani maiN mulawwis they. Apney Furzand-e-arjumand ko kotwal-e-shehar banana chahtey they. Shai humkumnama jari ker diya giya hai, key Qazi-ul-qaza ko un key uhdey sey mu-attal kiya jata hai aur ta-hukmey saani, unhaiN, un key ghar maiN nazar band ker diya giya hai.
Neez kotwal ko hidayat ki gaye hai, key shar pasandooN ko un sey milney na diya jaye.
Mumlikate-khudadad key bashindooN ney Zill-e-Subhani ka shukriya ada kiya hai. Is namaz-e-juma maiN Zill-e-Subhani ki sehat key liye duaeeN ki jayain gi.