fara
September 12, 2006, 7:19pm
1
**
Jalte Bujhtay Khuwab Thay Meray, Roshan Roshan Khaab Thay Meray
Hum Tu Ek Dojay Main Gum Thay, Kaisay Kaisay Khaab Thay Meray
Sehra Bhee Gulshan Lagta Tha, Uskay Sang Bus Dil Hansta Tha
Mosam Kitnay Rang Bharay Thay, **Kitnay Ujlay Khuwab Thay Meray
**
Uski Ankhon Kay Jado Say, Uski Bahoon Kay Halkay Main
Meray Her Ek Chak Sila Tha, Kitnay Alher Khaab Thay Meray
Usko Daikhoon, Usko Pojoon, Waqt Ka Derya Behta Jayee
Main Uski dherdkan Main Basi Thee, Kitnay Anokhay Khaab Thay Meray
Koonj Say Bichri Daar Thee Main, Usnay Mujhko Tham Liya Tha
Mujhko Jeena Sikhlaya Tha, Kitnay Piyaray Khaab Thay Meray
Meray Dil Main Bass Sa Gaya Wu, Meri Rooh Ka Sacha Sathee
Wu Jab Bichra Tab Main Samghi, Kitnay Jhootay Khuwab Thay Meray
Fara
**
system
September 12, 2006, 7:30pm
2
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
hein? ye kese o sakta hi fhotey khwab
fara
September 12, 2006, 7:33pm
3
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
**What exactly do u mean? Care to explain.
Shukran
Fara
**
system
September 12, 2006, 7:40pm
4
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
Usko Daikhoon, Usko Pojoon, Waqt Ka Derya Behta Jayee
Main Uski dherdkan Main Basi Thee, Kitnay Anokhay Khaab Thay Meray
babami yeh ekh kar har keh raghi thi k kitne meethee khwub the ap e:hoonh:
Zamil
September 12, 2006, 9:47pm
5
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
Shayad aap ne ghazal likhi thi lekin ye nazm hi kehlaaye gi coz qaafiya nahi hai.
BTW bohat achi hai, zabardast... :)
Khush rahiye...
darwesh
September 13, 2006, 1:58am
6
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
Fara Saheba... Khushbash,
Aap Khushkismat Hain Ke Aapne Khatte Meethe Khwaab To Dekhe,
Kitne Hain Jinhen Aise Khwaab Dekhe Honge.... Ya Koshish Ki Hogi ?
Taabeerain Hameesha Ek Si, Ya Aapni Marzi Ki Nahi Hua Karteen,
Tabeer Sachhi Ussi Waqt Mumkin Hai, Jab Khawaab Dekha Jaye.
Bari Rawaani Hai.... Bohat Mosiqiyat...Rimjhim Jharne Ki Manind,
Aapke Khaab Main.... Keep It Up..... Woh Subh Kabhi To Aaye Gi !
Darwesh.
Sannan
September 13, 2006, 5:05am
7
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
buhat khoub Fara G .....Khuwab aur khaab ko baray achay tareeqay say byaan kia aap nay par
Khawab Hotay Hain Daikhnay Kay Liye
Inn Main Ja Kar Mar Raha Karoo Tum
fara
September 13, 2006, 6:22am
8
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
Shayad aap ne ghazal likhi thi lekin ye nazm hi kehlaaye gi coz qaafiya nahi hai.
BTW bohat achi hai, zabardast... :)
Khush rahiye...
**Zamil
Ab yeh tu nahi pata kia likha hay.. koshish tu ghazal ki he thee..
Pasandeedgi Ka Shukriya!!
Fara
**
fara
September 13, 2006, 6:26am
9
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
Fara Saheba... Khushbash,
Aap Khushkismat Hain Ke Aapne Khatte Meethe Khwaab To Dekhe,
Kitne Hain Jinhen Aise Khwaab Dekhe Honge.... Ya Koshish Ki Hogi ?
Taabeerain Hameesha Ek Si, Ya Aapni Marzi Ki Nahi Hua Karteen,
Tabeer Sachhi Ussi Waqt Mumkin Hai, Jab Khawaab Dekha Jaye.
Bari Rawaani Hai.... Bohat Mosiqiyat...Rimjhim Jharne Ki Manind,
Aapke Khaab Main.... Keep It Up..... Woh Subh Kabhi To Aaye Gi !
Darwesh.
**Derwesh Ji
Main aap say kulli toar per muttafiq hoon... Khuwab tu bus, khud bakhud bas jatay hain..
Meri tehreer buhat aam si hay, aam si sochain aur aam say khayyalat.. aap nay pasand kia, bay had shukriya!
Fara
**
fara
September 13, 2006, 6:38am
10
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
buhat khoub Fara G .....Khuwab aur khaab ko baray achay tareeqay say byaan kia aap nay par
Khawab Hotay Hain Daikhnay Kay Liye
Inn Main Ja Kar Mar Raha Karoo Tum
*Thanks alot Sannan.. *
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
there is something called free verse, other people!!!!!
Fara, nice poetry.
there is balance and there is true emotions reflected in this.
carry on!
best ,
Dushi
fara
September 15, 2006, 7:20am
12
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
**Thanks a lot dushi...
Shukran
Fara
**
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
very nice :k:
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
very very nice....
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
nicee 111
fara
September 30, 2006, 12:23pm
16
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
Shukran Prince, Maham and Sunny
Fara
Re: ~Roshan Roshan Khuwab Thay Meray~
mind blowing , amazing , lovely. aisi pyari poetry share kartie raha kijiye.