-- Roothay Sanam ko ...

[INDENT]
Roothay hain wo; main kaisay unhain manaoon
Sardion main meethay aam kahan say main laoon

Boltay bhi nahi wo kaisay main bulwaoon
Apnay kanoN main wo rass kaisay ghulwaoN

Phair laitay hain aankh jab bhi pass main jaooN
Haalat-e-zaar apni main kaisay unhain dikhaooN

Kuch suntay bhi nahi main kaisay sunaooN
Dard-e-dil apna unhain; main kaisay sunaooN

Baqi ki zindagi hay ab bohat thori baqi
Yeh khabar main unn tak kaisay pohchaooN

[/INDENT]
by: Dada Abba Khan Sahib Karachvi … Urf Sagar Khan Hyderabadi
dedicated to my wife :$…

ps: Its not complete yet, hopefully I will be finishing it one day …

Re: – Roothay Sanam ko …

Baqi ki zindagi hay ab bohat thori baqi
Yeh khabar main unn tak kaisay pohchaooN

:rolleyes: unn tukk poHnchaanaY kee zaroorat hee naheeN hai cuz UNN nay abb aap saY naa lenaa aik naa lenaa dau… aap sardiyoN maiN “ChoNsa” choosiye aur aanaY waali UNN kaY baaraY maiN sochiye :lb:

Re: – Roothay Sanam ko …

we are allowed to :rotfl: in this forum - right.
pehla walaa shair just cracked me up.

its good though.

Re: – Roothay Sanam ko …

issay kehtay hain bhains jab bhi poonch uthati hay to koi acha kaam nai karti smack

biatay ghazal hay, issay mashwara khanam na banao flowers

Re: – Roothay Sanam ko …

aur baqi walon nay crack nai kia ? :s

Re: -- Roothay Sanam ko ...

wah wah kia short mara hay

begum kay ley istaqbaliaaa ghazlain shrooo ho gayee : P

Re: -- Roothay Sanam ko ...

ji, socha k yeh ghazal ka gola hi susral par maar doon ... lekin ansooN gas ka tank khali hogaya tha :s ... iss liay khali gola hi maar dia :$