**
Rooh kay Dard Ghum-e-dil main bikharnay detay
Hijar Ki yaad main tum hum ko sulaghnay
detay
Kyoon Churaye theey Sab khaar woh daman sey meray
Roz - o -shab unki chubhan main hi guzarnay detay
Mit gaye hai Jo sada aaj pashemaan hokar
Un sadaoon ko na Raahoon main Bhataknay detay
Ab gaye ho tu na Yoon Laut kay Ab Aa Aye Dost!
Ye Andheray nahin ab mujh ko palatnay detay
Aaj Shidaat sey ye Ehsaas hua hay Mujh ko
Kaash Halaat meray Tujh ko Samjhnay detay !
**