**Tumha’rey aakhiri khat ka jawab dena hay
Na jaaney rooh ko kitna aazab deyna hay
Uss aik nigha ney aik pal main kiya nahee poocha
Kaa’ei sawal hain jin ka jawab dena hay
Guzara gaya hay ye din tu kisi tarhan laikin
Tamaam raat ghamoon ka heesaab dena hay
Sitamgaroon ko yehi baat bhool jati hay
Kay aik roz tu khoon ka heesaab denya hay
Ussei ney muhur lagaa de hay sub key hoontoon par
Woh aik sawal kah jis kaa jawab dena hay
Nizaam haa’ay-kuh’han aazmaa key dekh li’ay
Zameen ko aur hi ab inqalab dena hay
Lahoo Lahoo hay har aik yaad ka badan BAAQI
Ga’ay dinoon ka aabad tak heesaab denya hay**