Humko to gardish-e-halat pe rona aaya,
Ronewale tujhe kis baat pe rona aaya,
Kaise mar-mar ke guzaari hai tumhe kya malum,
Raat bhar taaron bhari raat pe rona aaya,
Kitne betaab the rim jhim mein piyenge lekin
Aayi barsaat to barsaat pe rona aaya,
Koun rota hai kisi aur ke Gam ki Khatir,
Sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya,
Ye din to qayaamat ki tarah guzaraa hai,
Jaane kyaa baat thi har baat pe rona aaya…!!!
Aryaan
2
Re: Ronna ayyaaa …
Beautiful Sharing RabZZZ..:k:
Re: Ronna ayyaaa …
Bahut umdaah sharing … :k:
Re: Ronna ayyaaa ...
tumka hair style dekh ke rona a gea :@:
Re: Ronna ayyaaa …
u ne mera hairstyle kubb deikhaa .. 
KKF
8
Re: Ronna ayyaaa …
**waah RabZZZ…zabardast! mujhe to pataa bhii nahiiN thaa k u ko bhii she’r o shaa’irii se shauq o zauq hai…good! 
ek aisii hii Ghazal maiN ne kabhii sunii thii…aap bhii lutf-andoz hoN:
ai moHabbat! tere anjaam pe ronaa aayaa
jaane kiuN aaj tere naam pe ronaa aayaa
**
jiia
9
Re: Ronna ayyaaa …
agar mil kar ronay say halat thek ho jatay to sab mil kar rotay hyn
sorry rabz:hug: jab koe roay to mujy acha nahi lagta