ai mohabbat tere anjaam pe ronaa aayaa
**jaane kyon aaj tere naam pe ronaa aayaa
** yuun to hur shaam ummiidon mein guzar jaatii thii aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa
kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaaa kaa gilaa
**manzil-e-ishq mein har gaam pe ronaa aayaa **
jab huaa zikr zamaane me.n mohabbat kaa ‘Shakeel’ mujh ko apane dil-e-naakaam pe ronaa aayaa