**hum ko to gardish e halaat pe rona aaya
rone walay tujy kis baat pe rona aaya
kese mar mar ke guzari hai tumhy kia maloom
raat bhar taroon bhari raat pe rona aaya
kitny betaab thy ke rim jhim main piyen ge lekin
ai barsaat to barsaat pe rona aaya
koan rota hai kisi ke gham ki khatir
sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya
Saif ye din to qayamat ki tarah guzra hai
janay kia baat thi har baat pe rona aaya**
Aryaan
2
Re: Rona aaya…
Nice One Innocent Smile..:k:
ehsan
4
Re: Rona aaya…
lagta hai yeh nazam MM kay liye likhee gayee hai. 
Nice one. :k:
Re: Rona aaya…
mujy bhi post karty ho MM yaad aa gai thi…
Thanks 
Amal
6
Re: Rona aaya....
Bohat achi ghazal hey...ageless :)
Re: Rona aaya....
Bohat achi ghazal hey...ageless :)
thank you thank you :)
Re: Rona aaya…
ap ko me har waqt yad ate 

Sannan
11
Re: Rona aaya…
Fonts color iss say light naheen milay aap ko 
Re: Rona aaya…

Thanks Koyal
Shukariya pktun 
aisi ronay dhonay wali ghazals aisay font main hi achi lagti hain 
Re: Rona aaya…
aj kal mere rone ke charchey har zuban par
mujh ko pata hai aur sab ko khabar ho gai

ehsan
15
Re: Rona aaya…
urz kiya hai:
Jub bhi aap ka nick dekhta hoon
aap ka bagga yaad ker kay darta hoon. 
Re: Rona aaya…
jab bhi online ati hoon
apke ghuse ka wait karti hoon
jonhi ap nazar ate hain
apko dekh ke dar jati hoon


ehsan
17
Re: Rona aaya…
Chalo achha hai aap dartee toh hain
warna hur waqt bagga adtee hain.
Re: Rona aaya…
apko mera bagga itna yad rehta hai
ye soch kar mera dil shad rehta hai

ehsan
19
Re: Rona aaya....
Aap ka dil shad rahey yeh achha hai
aur baggay say dur raho toh achha hai
Re: Rona aaya…
mera bagga apko meri yaad dilata hai
ye soch kar mera dil shad ho jata hai

