rodad-e-mohabbat kiya kahiyay, kuch yaad rahi kuch bhool gayee
do din ki musarrat kia kahiyay, kuch yaad rahi kuch bhool gayee
jab jaam dia tha saqi nay, jab door chala tha mehfil may
woo hosh ki muddat kiya kahiyay, kuch yaad rahi kuch bhool gayee
ab waqat k nazuk honton par, majrooh taranum raqsaan hai
bedad-e-mashiyat kiya kahiyay, kuch yaad rahi kuch bhool gayee
ehsas k maikhanay may, kahan abb fikr-o-nazar ki qandeelain
aaalaam ki shidat kiya kahiyay, kuch yaad rahi kuch bhool gayee
kuch haal k andhay sathi thay, kuch mazi k ayaar sajan
ahbaaab ki chahat kiya kahiyay, kuch yaad rahi kuch bhool gayee
kantoon say bhara hai damn-e-dil, shabnam say sulagti hain ankhain
phoolon ki sakhawat kiya kahiyay, kuch yaad rahi kuch bhool gayee
ab apni hakeekat bhi saghar, bay rabat kahani lagti hai
duniya ki haqeeqat kiya kahiyay, kuch yaad rahi kuch bhool gayee