***Naqsh yaadoon ka mitaati hai tau ro parti hai
Woh mera khat jo jalaati hai tau ro parti hai
Khoon dikhta hai mere martay huwe sapnoo ka
Khwaab aankhoon mein basaati hai tau ro parti hai
Log poochtay hain jo ghehri udaasi ka sabab
Baat logoon se chupaati hai tau ro parti hai
Yaad karti hai mujhe too kar us lamhay
Shaam chehra jo dikhaati hai tau ro parti hai
Woh baray zabt baray hauslay waali larki
Gham ko tehreer banaati hai tau ro parti hai …