Rishtaa

Rishtaa yeh kaisaa hai naataa ye kaisaa hai
Pehchaan jis se nahee thee kabhi
Apnaa banaa hai vohi ajanabi
Rishtaa yeh kaisaa hai naataa yeh kaisaa hai

Tumhay dekhta hi rahoon mein
Mere saamnay yoon hi baithay raho tum
Karoon dil ki baatein mein khaamoshiyon se
Aur apne labon se na kuchh bhi kaho tum

Yeh rishtaa hai kaisaa yeh naataa hai kaisaa
Tere tan ki Khushboo bhi lagti hai apni
Yeh kaisi lagan hai yeh kaisaa milan hai
Tere dil ki dhadhkan bhi lagti hai apni

Tumhay paakay mehsoos hotaa hai aisay
Keh jaisay kabhi ham judaa hi nahee thay
Yeh maanaa keh jismo ke ghar to naye hein
Magar hein puraanay yeh bandhan dilon ke

Re: Rishtaa

yeh jiss say bhi kaho fit aay ga … :k:
lajwab lalu khaiti shair hay :wink: