shaied mera kisi se bhi rishta nahi koi
tanha safar main hoon mujhey dikhta nahi koi
zindaan main zindagi hai main kisko pukaarta
saaiyaad ke siwa yahaan sunta nahi koi
wo waqat jab khushi thi charagaan tha har tarhaf
us daur ka nishaan bhi milta nahi koi
manind lau ki main hoon tumahain kia bataao main
har rooz meri tarha youn jalta nahi koi
zinda tha mere haal pe hanstey thay sab sada
main mar gaya to aaj kiyoun hasta nahi koi