Tum ne tu keh diya jaanaan
Ke ab hamare darmeyaan rishta baaqi nahe raha
Magar mein kya karun
Ke har pal tere yaad aati hai
Jab jab baarish hoti hai
Tere bheegi zulfoon ki khushboo aati hai
Hawa jab taiz chalti hai
Tere payal ki chankaar sunta hoon
Bijli jab karakti hai
Tau lagta hai
Ke tum awaaz deti ho
Kabhi jab chaand poora ho
Mujhe kyun is mein tera aks dhikta hai
Kisi pal ko bhi lamha jo tanha hoon
Tau mein mehsoos karta hoon
Ke abhi tum samno aogi
Pareshaan si muskaan le kar
Aur kahogi Jaan-e-Janaan
Huwa kya … mujhe batlaoo
Mein har ek baat ko manzoor karti hoon
Magar teri chup seh nahe sakti
Abhi bhi kyun
Mein jab khamosh hota hoon
Tau lagta hai
Ke rishta ab bhi baaqi hai …
Re: ~~ Rishta Ab Bhi Baaqi Hai ~~
bouhat khoub Arif :lajwab:
wonderful :)
Re: ~~ Rishta Ab Bhi Baaqi Hai ~~
Thank you Sannan and Daanie ...
Re: ~~ Rishta Ab Bhi Baaqi Hai ~~
Beautiful …:k:
Re: ~~ Rishta Ab Bhi Baaqi Hai ~~
wah jiiii..nice
Re: ~~ Rishta Ab Bhi Baaqi Hai ~~
Thank you babri and neha ...