Afat
1
yeh to sub ney hi deykha hoo, aksar Quigchi key peechey likhaa hoota hey.
" meen Bara hoo ker Crolla Banoon gaa "
aik our shahkar… jo hum ney kaheen likhaa deykhaa thaa.
“'buri nazar walay teray bacchay jiyain, baray ho kar tera khoon piyain”
aap bhi apnay apnay mushahidat biyan kareen…
Afat
2
Re: Rickshaw,Taxi, our Busoon meen likhey huway shahparay
aik our kissi dil jalay keh rickshay per likhaa thaa.
Qatal karna hay tu ankhon say karo talwaron main kiya rakha hay
safar karna hay tu rikshay say karo Caroon main kiya rakha hay
Afat
3
Re: Rickshaw,Taxi, our Busoon meen likhey huway shahparay
Aik Biyani ki dukan per likhaa deykhaa.
Allah ka Karam hey, Biryani Garam hey...
Re: Rickshaw,Taxi, our Busoon meen likhey huway shahparay
Aik truck par likha tha "buri nazar walay tera chehra kaala"
Afat
5
Re: Rickshaw,Taxi, our Busoon meen likhey huway shahparay
aik our truck key peechay likhaa thaa..
Horn dey ker pass ker
Naheen tey Bardasht ker.
Re: Rickshaw,Taxi, our Busoon meen likhey huway shahparay

aik our truck key peechay likhaa thaa..
Horn dey ker pass ker
Naheen tey Bardasht ker.
I think the correct version is:
Himmat hai to pass kar
warna bardasht kar :D
Re: Rickshaw,Taxi, our Busoon meen likhey huway shahparay
These are really funny dude! Keep them Coming :laugh: 
*Maalik Ki Gaadi Driver Ka Paseena – *Chalti Hai Road Par Ban Kar Haseena
Pappu Yaar Tang Na Kar!!!
zarra8
9
Re: Rickshaw,Taxi, our Busoon meen likhey huway shahparay
*Driver ki zindagi bhi ajab khel hai, maut se bach gaya to central jail hai
*