AQ
March 10, 2007, 7:07pm
1
A typical post in Intikhab:
Meri Begum hai Jealous Khawaateen saY
Poochti hai yeh miss Faakhirah kaun hai
I.D Card meraa banaa tau kahaa!
Ab Bataao MujhaY ‘NADRA’ kaun hai
Typical Replies to this post:
Wow
very nice
Wah bahut khoob
amazing…
Thanks for sharing
one of my favourites
Re: Return of Let’s Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
Maitnee show main chalaiN gay
Jatt da puttar daikhnay
Main tu apnay paisay dooN gaa
tum udhaaraa daikhnaa
AQ
March 10, 2007, 7:25pm
3
Re: Return of Let's Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
Mundarjaa balaa sher maiN naa qafiyaa hai naa radeef..
Tukk bandi kaa bhee khiyaaL naheeN rakhaa gayaa
kiya yeh aazad shaairy hai? Kiss na hanjaar kee shaairy hai... shaair kaa naam bataayaa jayee!!!
Khumar
March 10, 2007, 7:37pm
4
Re: Return of Let's Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
buhat khoob. keep it up :)
AQ
March 10, 2007, 7:42pm
5
Re: Return of Let's Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
Thanks Khumar
Iss par apnaa zaati aik sher yaad aayaa jiss kaa pehlaa misra' Iqbal saY udhaar liyaa gayaa hai:
Qulzum-e-Hasti saY ubhraa hai tu maaniNd-e-Hubaab
Chal jaa cycle maiN hawaa bhar, naQshaY naa karaa
Khumar
March 10, 2007, 8:18pm
6
Re: Return of Let's Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
hubaab and karaa don't really rhyme. otherwise this is good :)

Forum forum poetry khelney ka shoq hai Qureshi saab ko
Chal Araam se wah wah kar ankhain na dikha baap ko
AQ
March 10, 2007, 8:26pm
8
Re: Return of Let's Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
hubaab and karaa don't really rhyme. otherwise this is good :)
woh iss liye kaY ghazal kaa har doosraa misraa pehlaY sher kaY doosraY misraY saY rhym kartaa hai :) let me give u an example:
Qulzum-e-Hasti saY ubhraa hai tu maaniNd-e-Hubaab
Chal jaa cycle maiN hawaa bhar, naQshaY naa karaa
kal ho gaya phaDDa ghumsaan kaa mera mohallaY maiN
maiN naY uNglee maroRi tau woh cheekha: "AbaY maraa"
UZ
March 10, 2007, 8:41pm
9
Re: Return of Let's Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
wah wah kiya sher akhey ian :)
Khumar
March 10, 2007, 8:45pm
10
Re: Return of Let's Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
jee yeh mainay raat ko chandni raat ko dekhtay huay likha tha. Comments are appreciated :)
Roses are Red
Violets are Blue
You were hanging outside my window
And then I slapped you
:)
UZ
March 10, 2007, 8:46pm
11
Re: Return of Let’s Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
nice
_Iraj
March 10, 2007, 8:47pm
12
Re: Return of Let's Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
wah wah
Khumar
March 10, 2007, 8:48pm
13
Re: Return of Let’s Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
Adaab arz hai
kisi misray waghaira ya kisi aur kism ki mithai ko to nahin change karna?
AQ
March 10, 2007, 8:48pm
14
Re: Return of Let's Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
jee yeh mainay raat ko chandni raat ko dekhtay huay likha tha. Comments are appreciated :)
Roses are Red
Violets are Blue
You were hanging outside my window
And then I slapped you
:)
meraY khiyaaL maiN yeh chaandni raat ko naheeN, CHAAND KHAN ko dekh kar likhaa gaya thaa :)
waisay iss maiN aik talmeeh hai... kissi ki waardaat-e-qalb kaa zik'r nihaayat rangeen mizaaji saY kiyaa gaya hai :)
Khumar
March 10, 2007, 8:51pm
15
Re: Return of Let’s Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
meraY khiyaaL maiN yeh chaandni raat ko naheeN, CHAAND KHAN ko dekh kar likhaa gaya thaa
waisay iss maiN aik talmeeh hai… kissi ki waardaat-e-qalb kaa zik’r nihaayat rangeen mizaaji saY kiyaa gaya hai
jee aap ko kis nay bataya
aur agar rangeen mizaaj say shair na bola jaye to phir woh shair nahin hota. Kya khoob kaha hai kisi nay, keh jab tak kisi ko stalk nahin kiya jaata, woh pakka shair nahin banta.
Re: Return of Let’s Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
uss nay ik ek boti ko yakja hai kata
but yehi bat achi hai mere qasaii ki
AQ
March 10, 2007, 8:52pm
17
Re: Return of Let’s Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
jee aap ko kis nay bataya
aur agar rangeen mizaaj say shair na bola jaye to phir woh shair nahin hota. Kya khoob kaha hai kisi nay, keh jab tak kisi ko stalk nahin kiya jaata, woh pakka shair nahin banta.
uncle stalker’s thought will be appreciated on this matter.
sweefs
March 10, 2007, 8:53pm
18
Re: Return of Let’s Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
wah wah
kya baat hai khumar aunty ki :D…vaisay ussay ziyada chaut tho nahee lagee?
AQ
March 10, 2007, 8:55pm
19
Re: Return of Let’s Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
oh my god… I love that sher of Nasreen jaabir :love:
Khumar
March 10, 2007, 8:57pm
20
Re: Return of Let’s Play Forum Forum Series: Poetry - Intikhab
jee hum unhi kay aglay misray ka intizaar kar rahay hain
mohtarma sweet aap ka shukriya
Sajal Baji