ret par likh ke mera naam mitayaa na karo
aankhen sach bolatii hain pyaar chupayaa na karo
log har baat ka afsaana banaa lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaayaa na karo
ye zaruurii nahi har shaKhs masiihaa hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaayaa na karo
shahar-e-ehasaas mein pattharaav bahut hain ‘Mohsin’
dil ko sheeshe ke jharonkhon mein sajaayaa na karo