hi everyone 
since Independence day is approaching, I am looking for some patriotic poetry.. I remember last yr someone either Amal or Rameesha posted this thread about Countdown to Independence Day and there was some really good poetry in it.. I have tried my best but no luck with it.. I guess am too bad in seraching something Online.. can anyone help me to find that thread.. Muchas Gracias.. 
oh well, since this thread is in poetry session and 14th August will be here soon, I 'll just post my all time favorite Aye Jazba-e Dil.. feel free to add more and help me to find that thread.
ay jazba-e-dil gar main chahuN har chiz muqaabil aa jaye
manzil ke liyay do gaam chaluN aur samaney manzil aa jaye
ay dil ki Khalish chal yuN hi sahi, chalata to huN un ki mahafil main
us waqt mujhe chaunkaa dena jab rang pe mahafil aa jaye
ay rahabar-e-kaamil chalane ko tayar to huN par yaad rahe
us waqt mujhe bhaTka dena jab samaney manzil aa jaye
haN yad mujhe tum kar lena avaz mujhe tum de lenaa
is raah-e-muhabat main koi dar paish jo mushkil aa jaye
ab kyuN DhunDhu woh chashm-e-karam hone de sitam balaa-e-sitam
main chahataa huN ai jazbaa-e-Gam mushkil pas-e-mushkil aa jaaye
is jazb-e-dil ke barey main ik mashvaraa tum se letaa huN
us waqt mujhe kya lazim hai jab tujh pe mera dil aa jaye
ay barq-e-tajali kyaa tune mujhako bhi musaa samajha hai
main tuur nahin jo jal jaauN jo chaahe muqabil aa jaye
poet: Behzad Lukanwi
I've been looking for that thread for 3 day but am failed to find it
sorry :-(
PS
beautiful ghazal
chandoo…I dunno if someone is comfortable with it or not, so I won’t mention any name but I got this link in the PM.. I thought I 'll share with ya and you won’t have to find it anymore.. :-p
here you go:
http://www.gupistan.com/forums/showthread.php?s=&threadid=33552&perpage=30&pagenumber=1
PS: since the link isn’t working for Amal’s nazm , it would be great if you can ask him if he has a copy of it… 
wow! that old thread is just great! brought back so many memories, I’ve danced on most of those mili nagmas for school shows..
I even remember their tunes because of all that practice we used to do!
anyways, here’s the one I really enjoy reading and singing.
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sab ki hai pehchaan
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
Har diL ke ufaq par hay Chand ek Sitara ek
Hai kalma bhi wahid parcham bhi humara ek
Hum yak-dil hum yak jaan
Hum yak-dil hum yak jaan
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
Ikhlas, Yaqeen, Tanzeem hai Millat ka manshoor
Har jaada-um-manzil par millat kay diL ka Noor
Allah, Nabi, Quran , Allah Nabi Quran
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
Rehmat ki taraha sar par behno ki ridaain hain
Himmat kay liye humraah Maa‘on ki duaain hain
hum par Rab ka Ehsaan, hum par Rab ka Ehsaan
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sab ki hai pehchaan
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
Islam kay Lashkar mein hain Qasim se farzand
Iss MulQ-o-Millat mein Bachay bhi karri qamand
Boorhe bhi jari kamaan, Boorhe bhi jari kamaan
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sab ki hai pehchaan
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan
in Millon, Mashinon kay sab pahiyey ghoomain gay
Mazdoor bhi hongay shaad,dahqaan bhi jhoomain gay
Sona dain gay kahaliyyan, Sona dain gay kahaliyyan
Hum zinda Quom hain paainda Quom hain
Hum sab ki hai pehchaan
Hum sabka Pakistan Pakisan Pakistan
Hum sabka Pakistan