Reply with shair

Re: Reply with shair

Tum Humaray Kisi Tarhan Na Howay
Warna Duniya Main Kia Nahin Hota

Re: Reply with shair

duniya khaRi hay muntazir-e-naghmaa-e-alam
behzaad chup khaRay hain kisi kay khayaal main

Re: Reply with shair

unke Khayaal aaye to aate chale gaye
be_gaana zindagii ko banaate chale gaye!
:(

Re: Reply with shair

zindgee baraaye bandgee

zindgee baybandgee shermindgee

Re: Reply with shair

chot si correction

Re: Reply with shair

diloon ki imaratoon main kahin bandagi nahi
patthar ki masjidoon main khuda dhoondtay hain log

Re: Reply with shair

Ae dil ki khalish chal yun he sahi chalte tu hain un ki mehfil main
Us waqt mujhay cho'n'ka daina jab rang pey mefil aa jaaye

Re: Reply with shair

main bohat dinoo say udaas hoon ,mujhay koi shaam udhaar do

mujhay apnay rang main rang do ,mere saaray zang utaar do

Re: Reply with shair

:eek:

Re: Reply with shair

^ haan thora ghlat likh diya shaid aysay tha

Mujhe apne roop ki dhoop do, k chamak sakain mere khaal-o-khad
Mujhe apne rang main rang do, mere sare zung utaar do

Re: Reply with shair

esa rang rang-day, rang na chhooTay
dhobiya dhoye jaye saari umarya

Re: Reply with shair

ummer bher hum yoon he ghalate kertay rahay ghalib

dhool chehray pey the or hum aaina saaf kertay rahay

Re: Reply with shair

hisaab-e-umr ka itna sa goshwaara hay
tumhain nikal kar dekha to sab khasaara hay

Re: Reply with shair

^hissab-e-zeest ..i think

kissi k ik ansoo per hazarooN dil teraptay hain

kissi ka ummer bher rona yoonhe baykaar jata hai

Re: Reply with shair

^ hisaab-e-umr hee hay, amjad islam amjad

rakht-e-safar yunhi to na baykaar le chalo
rasta hay dhoop ka, koi deewar le chalo

Re: Reply with shair

tumhain dekha to yeh khiyaal aya

zindgee dhoop , tum ghana saaya

Re: Reply with shair

main kya karuN ga agar woh na mil saka Amjad
abhi abhi meray dil main khayaal aaya hai

Re: Reply with shair

tmam ummer use k khial main guzre faraz

kisay mera khiaal ummer bher na aya

Re: Reply with shair

:hayaa: :wink:

Re: Reply with shair

Umer bhar ki judai ka khayal aya tha shayad...
woh mujhe pass apne dair tak bitha kar royi....