Reply with shair

Re: Reply with shair

ujaaR jungle, Dari fiza, haanpti hawaain
yaheen kaheen bastiyaan basaao udaas logo

Re: Reply with shair

Manzlon ka Gham karny Say Manzlain Nahi Miltin..
Hosly bhi Toot Jaty hain AKSAR UDAS Rehny Say.

Re: Reply with shair

dil to mera udaas hai Nasir

shehar kion saain saain kerta hai

Re: Reply with shair

kyun udaas phirtay ho, sardiyon ki shamoon main
is tarha to hota hay, is tarha kay kamoon main

Re: Reply with shair

ye zindagi yahaan khushi gamoon k sath sath hy
rula sako tu saath do haansa sako tu saath do..

Re: Reply with shair

Kathin safar hai muhabbaton ka sarab raste hain soch lena
Woh chor jate hain ik qadam per jo sath chalte hain soch lena

Re: Reply with shair

itnee karee musaaftoon k baad yeh khula

hum jis teraf rawaan thay udher raasta na tha

Re: Reply with shair

manzil kaisay naseeb ho teray pyar ki
rasta jo teray ghar ka pur-asraar bohot tha

Re: Reply with shair

wo tere naseeb ki barishen kisi or chat pe baras gai

dil-e-bekhabar meri baat sun,,,usay bhool ja

Re: Reply with shair

aap kehtay thay k ronay say na badlain-gay naseeb
umr bhar aap ki is baat nay ronay na diya

Re: Reply with shair

Ab apne qalm ko rok le asif
ye gazal parh kar koi ronay wala hai..

Re: Reply with shair

Mere haal pe yeh hairat kesi, dard ka tanha mausam main,
Pathar bhi ro parttey hain, insaan to phir insaan huaa..

Re: Reply with shair

yeh to pattharoN kaa shehr hai, yahan kisko apnaa banaaiye
kahaN jaa ke maut ko DhoonDhiye, kahaN jaan apnii gaNvaaiye
:(

Re: Reply with shair

Us shaks ko kar lo ga main taskhir to lakin
pathar kye pighalne main zara dyer to lage gi

Re: Reply with shair

humain daryaft karne se hamain taskheer karne tak
boht hain marhalay baqi hamain zanjeer karne tak

Re: Reply with shair

kuch aj sham hi se hai dil b bhuja bhuja

kuch sheher k chirag b madham hain dosto

Re: Reply with shair

kisi dard ko pukaaro kisi dard ko jagaoo
yi udasion ka mosam yunhi raegan na jai

Re: Reply with shair

saya-e-abr-e-rayegan hun main, maoj-e-bahr-e-bekaran hay tu
lamha-bhar mil k roothnay Walay, zindagi bhar ki dastan hay tu

Re: Reply with shair

ghusaa b ha tehzib-e-taluq ka talabgar

humchup hain bharey bethy hain gussa na krein ge

Re: Reply with shair

duniya main teray ishq ka charcha na karain gay
mar jaingay, lekin tujhay ruswa na karain gay