Agar hum log 14 August kay Taraanoun ki baat kertay haen phir humaray zehan mein pehla naam Madam NOOR JEHAN ka ata hai. Unkay gaey huay taraanay aaj bhi itnay khoobsurat or itna jazba hai un mein jo kay aaj kul kay taraanay agar kisi nay gaey haen to shayed he un mein ho.
Madam Noor Jehan jin ka asli naam Allah Wasai tha, unki paidaish September 21 1926 mein hui aur unhonay nay wafaat December 23 2000 mein pai. Madam Noor Jehan 11 behan bhaiyoun kay khandaan mein say theen, walid Madad Ali aur walida Fateh Ali. Jub Madam Noor Jehan ka rojhaan bhartay huay unki walida nay dekha to unko Ustaad Baray Ghulam Ali Khan kay paas raag seekhnay kay liye bhaaja kerti theen. 7 saal tak unkay khoobsurat career say aur awaz say hum lutf andoz huay. Is terha wo South Asia ki sab say kaamyaab aur naamwar funkaar bun gaeen. Inki shohrat ki bina per inko “Malika e Taranum” kay aizaaz say bhi nawaza gaya tha.
Madam Noor Jehan ka taluq moseekaar gharanay say tha, wahan un per bohut zor deeya gaya kay wo bhi moseeki ki teraf aen jub kay unka rojhaan adakaari ki teraf tha. Madam Noor Jehan nay kai filmoun mein kaam keeya aur filmoun kay liye gaanay bhi gaaey. Unko is baat ka aezaaz hasil hai kay unhonay 10,000 gaanay gaaey haen Urdu, Punjabi aur Sindhi zabanoun mein. Madam Noor Jehan ko pehli Pakkistani film ki hidayatkaar ka sharaf bhi hasil hai.
1957 mein unko “President’s Award” deeya gaya unkay gaanoun aur idakaari kay aezaaz mein.
ye to tha aik mukhtasar sa intro Madam kay hawalay say. Ab agar hum dekhaen Pakistan Media History mein to kuch darj zail taraanay jo humaray her dil aziz haen saamnay atay haen