Ussay batana chahyay tha parents ko ya phir larkay ko ko wo bilkul pasand naheen karti aur shadi naheen karna chahti...............Agar koi naheen suntay to phir koi aur tareeqa use karti aur...............sub say bahtar tha 3 baar qabool naheen karti jub kar lia hai to nibhana to paray ga.
Yay bilkul jahalat ka rule hai. Larki ki khushi daikhni chahyay. Jaidad bahar thora hi jati hai larki ko milti hai to larki ki hi rehti hai. Unki apni beti ka maal hota.
Aqal ki hair phair hai. Itnay budhdhay say shadi karnay kay hug main main bhi naheen. Laikin mazhab main koi umr ki qaid bhi naheen agar dono razi hain to theek hai.
Khuwah bay dili say ya upper dil say larki razamund to ho gai so ub wo kisi ko qusoorwar naheen tahra sakti. Agar us pay zabardasti ki gai thi to ghalat tha.
Hamari purkhuloos duain unkay saath hain. Agar wo chahain gi to nibha lain gi. Waisay hamaray maashray main na chahtay huway bhi larkiaan sari zindagi nibha laiteen hain.
Jo larkian jis cheez ko ahmiat deteen hain unko chahyay wo kisi na kisi tareeqay say apnay parents ko bata day kay ussay kaisa larka chahyay.
OMFG. ENGLISH. PLEASE