Lamhay
1
tofan mein naao hai tanha jaise koi kinaara naheen
kotaahii-e-qismat hai sabke hum koi hamaara naheen
rehne dijiye yunhi toofanon mein koi to saath hai
koi to hai ke jisko hamaari tanhaai gawaara naheen
kabhi to tootna tha mujhe so toot gaya to kya hua
aoj-e-falak pe chamakta rehta mai wo sitara naheen
koi to aaye hamari dehleez par ghaflat main hi sahi
koi to dastak de kya shehar mein koi awaara naheen
dhondti hai nazar koi raushni koi khushi har jagah
ye bhi hamari tarhan hai iska bhi koi sahara naheen
kabsay muntazir hoon jaane maut kab meherbaan hogi
bas yahi baaki hai choota humse koi nazaara naheen
udaas kab tha kismat se main jo shikwa karta
jaanta hoon bina gham ke koi zindagi guzaara naheen!
Bahut hi khoobsurat !
Lagta hai aap ko kisi ne bahut hi ghehra zakhm diya hai ... ! Waisay fikar na karain... Bakool kisi shair ke...
Rula ke mujhe woh bhi hans na paaya hoga... !
Yahaan badla wafa ka bewafae ke siwa kya hai !
Muhabbat kar ke bhi dekha, muhabbat mein bhi dhoka hai !
Lamhay
4
[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Bahut hi khoobsurat !
Lagta hai aap ko kisi ne bahut hi ghehra zakhm diya hai ... ! Waisay fikar na karain... Bakool kisi shair ke...
Rula ke mujhe woh bhi hans na paaya hoga... !
Yahaan badla wafa ka bewafae ke siwa kya hai !
Muhabbat kar ke bhi dekha, muhabbat mein bhi dhoka hai !
[/QUOTE]
:) kia kahien khair
Pramod
6
bahot achhi ghazal hai, Lamhay jii.
daad kubul kijiye.
Nice, Lamhay sis thanks for sharing:)
thts beautiful:k: zabardast
Re: Rehne dijiye younhi toofanon mein!
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
koi to aaye hamari dehleez par ghaflat main hi sahi
koi to dastak de kya shehar mein koi awaara naheen
[/QUOTE]
sigh
nice shair Lamhey