Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

rehna tha mujh ko teri nazar kay kamal mai
lakin mai din guzar rahi hoo zawal mai

ghera hai is tarha mujhay wehshat kay jaal nay
sub khaab meray toot gaye is malal mai

mujh say nazar chura kay guzarnay lagi hawa
anay lagi jo hijar ki khushboo wasal mai

hoo’n sa’at-e-azab mai kyu mai abhi tak?
ek umar say ghiri ho isi ek sawal mai

bay-cheniya tamam hi mai us ki aurh lou
shamil mujhay karay to kabhi apnay haal mai

mai sun rahi ho phir say judaye ki ahh’atain
jeena paray na phir say unhi mah-o-saal mai

qismat say rah mai jo jazeeray hamay milay
na teray guma’n mai thay, na meray khyal mai

:teary3:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

nice shabbo :k:
:chai:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

bus nice :hoonh:

jao mai nahi baat karti :naraz:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

very nice :k:

:slight_smile:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

bohut khub shabo! your selections are always great :bb:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

qismat say rah mai jo jazeeray hamay milay
na teray guma'n mai thay, na meray khyal mai

nice one shabo :)

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

mai ap say bhi naraz :naraz:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

:slight_smile: kuch husb e haal o behaal haiga
rehna thaa mujh ko bhee kisee ki nigah e kamal main
magar ye ho na saka aur ub ye aalum hay k
wo nahi, nigah nahi aur koi kamal nahi
so jindagi main mazeed koi wabaal nahi
pait main aant, moun main daant aur ser pe baal nahi :cb:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

^
:omg:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

buhat khobsorat
zabardast

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

yeah I like that :AID:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

mai sun rahi ho phir say judaye ki ahh'atain
jeena paray na phir say unhi mah-o-saal mai


its simply touchy shab thanks :(

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

It’s Beautiful Shab-e-Hijar..

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

y sad :hug:
nice election(s) :k:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

elections :aq:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

Zabardast Ghazal :k:
very nice

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

thanks all :flower1:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

sigh… bichara wo khudh pata naheen kis aag mai sulag rha ho.

PS: nice sharing Shaboo :slight_smile:

Re: Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar Kay Kamal Mein

mujh say nazar chura kay guzarnay lagi hawa
anay lagi jo hijar ki khushboo wasal mai

Bohat alaaa baaiii