**
Tu hai bar’a rehman Maula tu bar’a rehman
Ehsan hum pe hai tera ai rab’e-zuljalal
Ummat maiN es ki paida klya jo hai he-misal
Dukhlar Batool jis ki Hassan aur Hussain lal
"Laihmuka laihmi’ jis ka Ali jaisa bakamal
Quran-o-Ahl-e-Bait ko tu ne kiya yakjaN
Tu hai bar’s rehman MauLa tu bar’a rehnan
Adam sa ta-ba Mehdi-e-akhir teri ata
Terai karam ke baar tale saray anbiya
Moosa ke haq maiN Neel maiN rasta bana diya
Masloob ho ke Essa ke lab par thi yeh sada
Har dil maiN tu makeeN hai kehnay ko la makaN
Tu hai bar’a rehman Maula tu bar’a rehman
Meraaj par gae jo rasool-e-falak janab
Mabook-o-abd maiN na rahajab koi hijaab
Allah ne Nahi se kiya is ghar i khitab
Darkar kiya hai tum ko mujhe chahiye jawaab
Bolai Rasool baksh de ummat ko dai amaN
Tu hai bar’a rehman Maula tu har’a rehman
Rab ne Kaha ada karo haq-e-payambari
Jis waqt aai raah maiN manzil ghadeer ki
Takmeel-e-deen karna hai es waqt ai nabi
Maidan-e-khum maiN es tarha maula banai Ali “Akmalto lakum deen” ka paida hua saman
Tu hai bar’a rehman Maula tu bar’a rehman.
Ea ghar ka fard tard khuda se tha hamkalem
Sajday maiN sar Hussain ka lab pe Khuda ka nam Khanjar lalai Khuda se yeh kehtai rahe Imam
Sar teri nazr karia houN ghar de chuka tamam
Aata hooN leri simi maiN daita hua azaan
Tu hai bar’a rehman Mula tu bar’a rehman
Akbar nisar kar diya, Asghar bhi de diya
Abbas aur Qaaim-o-Hur ko bhi ro chuka
Zainab ke dono bachoN ko saihra maiN kho chuka
Ab dast-e-zulm chadar-e-Zainab tak Aa gaya
Lay dekh lay Hussain ke chehray ka itmenan
Tu hai bar’a rehman Maula Tu bar’a rehman
KhaimoN se aag, Aag se uthta hua dhuwaN
Nanna sa Eik Jhula hai sholoN ke darmiyaN
Daman jaJa Sakina ka Kaise bujhai maaN
Bandhi gai haiN haihoN maiN Zainab ke resmaN
Ujr,a hua he qafla Sajjad sarban
Tu hai bar’a rehman Maula tu bar’a rehman
Aaee sada Hussain ki ai Qadir-o-Qadeer
Beti Ali ki meri behan ho-gai aseer
Be dast mera bhai hai tu sub ka dastgir
Kofa ki shahzadiaN kesi hoeeN faqeer
Phir bhi maiN nowk-e-narza pe deta hooN yeh bayaN Tu hai bar’a rehman Maula tu bar’a rehman
Hamd-e-Khuda hai naat-e-Nabi zikr-e-panjtan
Es kesiwa to kuch bhi nahiN he mera sukhan
Yad-e-Hussajn hai mera sarmaya-e-mehan
He karbala ki khak se asooda jo badan
Kaise fishar’e-qabr ho phir Sarwar-0-Rehan
Tu hai bar’a rehman Mauia lu bar’a rehman
**