registaan main
main nay ek junglee dekha
nanga tha
zameen par baitha hua tha
apna dil haathon main liyay
kha raha tha.
main nay poocha:
“dost, bataao ye kaisa hai?”
“karwaa hai - bahut karwaa,” usnay kaha,
“lakin mujhay bahut pasand hai
kyon k ye mera dil hai.”
tr. Tanzan Senzaki
The original poem, In the Desert, is in English
by Stephen Crane (1871-1900), An American poet