Reflections.....

Door kahin sochon mein nikal jata hoon

Door kahin sochon mein nikal jata hoon
Khayaal jab bhi, itna sa hi aata hei
Iss zindagi ki bhaag dordh mein jab
Koi humesha keliye, jab koi kho jata hei
Main sochta hoon, unki zindagi mein
Unhe waqt apna na hum de paate hein
To unke jaane ke baad, phir rone ke liye
Itna waqt kahaan se hum le aate hein?
Kyun qadar tab hi humein kisi ki hoti hei
Jab wo doosre jahan mein chale jate hein?
Phir deewano ki tarah fariyaad le kar hum
Apne khuda ki baar-gaah mein jaate hein
Apne apnon ko chalo zara ye apna waqt to dein
Kya pata ke phir wo kahin aise na kho jaye
Jiss neend se koi bhi jaga nahi hei Wakas
Kahin aisi gehri neend na wo phir so jaye

  • by Wakas Mir

Re: Reflections.....

main nazar se pii rahaa huuN ye samaa badal na jaaye

main nazar se pii rahaa huuN ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahen kahiin raat Dhal na jaaye

mere ashk bhii hain is mein ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye

abhii raat kuchh hai baaqii na uThaa naqaab saaqii
teraa rind girate girate kahiin phir sambhal na jaaye

merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa
tere aane kii Khushii mein meraa dam nikal na jaaye

mujhe phuuNkane se pehale meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat kahiin saath jal na jaaye

  • by Anwar Mirzapuri

Re: Reflections…

nice collection :k:

Re: Reflections.....

*kal na main itanaa buraa thaa kyaa huaa *

kal na main itanaa buraa thaa kyaa huaa
teraa dil bhii aaiinaa thaa kyaa huaa

zindagii mein moD kitane aa gaye
ye to siidhaa raastaa thaa kyaa huaa

bhiiD kyuuN hai aashiyaaN ke aas paas
ek sholaa saa uTha thaa kyaa huaa

ye imaarat aaj kyuuN viiraan hai
is jagah par ek Khudaa thaa kyaa huaa

kyuuN "Naseem" ab maikade jaane lage
aadamii to paarasaa thaa kyaa huaa

  • by Naseem Ajmeri

Re: Reflections.....

Good sharing :)

Re: Reflections.....

:)

Re: Reflections.....

nice sharing.

Re: Reflections.....

Yes they are very beautiful works Shazia.

Re: Reflections.....

haadase kyaa kyaa tumhaarii beruKhii se ho gaye

haadase kyaa kyaa tumhaarii beruKhii se ho gaye
saarii duniyaa ke liye ham ajanabii se ho gaye

gardish-e-dauraaN, zamaane kii nazar, aaNkhon kii niind
kitane dushman ek rasm-e-dostii se ho gaye

kuchh tumhaarii gesuuon kii barahamii ne kar diyaa
kuchh aNdhere mere ghar mein raushnii se ho gaye

yuuN to ham aagaah the saiyaad kii tadbiir se
ham asiir-e-daam-e-gul apnii Khudii se ho gaye

har qadam "Sagar" nazar aane lagii hain manzilen
marhale tay merii kuchh aavaaragii se ho gaye

  • by Sagar Nizami

Re: Reflections.....

*is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai *

is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa kii muhabbat nahiin ehasaan kiyaa hai

sochaa thaa ki tum duusaron jaise nahiin honge
tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai

mushkil thaa bahuut mere liye tark-e-ta'alluq
ye kaam bhii tum ne meraa aasaaN kiyaa hai

har roz sajaate hain terii hijr mein Gunche
aaNkhon ko terii yaad mein guldaaN kiyaa hai

  • by Afzal Firdaus

Re: Reflections…

Excellent NihalK :):k:

Re: Reflections.....

Yes he has really written well, Naseem Ajmeri.

Re: Reflections.....

*na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai *

na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai
Khushii kaa rang liye har malaal aayaa hai

vo ek shaKhs ki haasil na thaa jo Khud ko bhii
miTaa kisii pe to kaisaa bahaal aayaa hai

zubaaN pe harf-e-talab bhii nahiin koii phir bhii
nigaah-e-dost mein rang-e-jalaal aayaa hai

kiyaa na zikr bhii jis kaa tamaam umr kabhii
hamaare kaam bahut vo malaal aayaa hai

nahiin hai tum se koii dostii bhii ab to magar
qadam qadam pe ye kaisaa vabaal aayaa hai

  • by Ahmad Hamdani

Re: Reflections.....

*sataa sataa ke hamein ashk-baar karatii hai *

sataa sataa ke hamein ashk-baar karatii hai
tumhaarii yaad bahut beqaraar karatii hai

vo din jo saath guzaare the pyaar ke hamne
talaash un ko nazar baar baar karatii hai

gilaa nahiin jo nasiibon ne kar diyaa hai judaa
terii judaaii bhii ab ham ko pyaar karatii hai

kinaare baiTh ke jis ke kiye the qaul-o-qaraar
nadii vo ab bhii teraa intezaar karatii hai

  • by Wafa Roomani

Re: Reflections.....

koii ye kaise bataa ye ke vo tanhaa kyon hain

koii ye kaise bataa ye ke vo tanhaa kyon hain
vo jo apanaa thaa vohii aur kisii kaa kyon hain
yahii duniyaa hai to phir aisii ye duniyaa kyon hain
yahii hotaa hain to aakhir yahii hotaa kyon hain

ek zaraa haath baDhaa, de to pakaDale daaman
usake siine mein samaa jaaye hamaarii dhaDkan
itnii qurbat hain to phir faasalaa itnaa kyon hain

dil-e-barabaad se nikalaa nahiin ab tak koii
ek luTe ghar pe diyaa kartaa hain dastak koii
aas jo TuuT gayii phir se bandhaataa kyon hain

tum masarrat kaa kaho yaa ise Gam kaa rishtaa
kehte hain pyaar kaa rishtaa hain janam kaa rishtaa
hain janam kaa jo ye rishtaa to badaltaa kyon hain

  • by Kaifi Azmi

Re: Reflections.....

*hosh vaalon ko Khabar kyaa beKhudii kyaa chiiz hai *

hosh vaalon ko Khabar kyaa beKhudii kyaa chiiz hai
ishq kiije phir samajhiye zindagii kyaa chiiz hai

un se nazaren kyaa milii raushan fizaayen ho gaiin
aaj jaanaa pyaar kii jaaduugarii kyaa chiiz hai

Khulatii zulfon ne sikhaaii mausamon ko shaayarii
jhuktii aaNkhon ne bataayaa maikashii kyaa chiiz hai

ham labon se kah na paaye un se haal-e-dil kabhii
aur vo samajhe nahiin ye Khaamoshii kyaa chiiz hai

  • by My very dearest friend 'Nida Uncle' Nida Fazli

Re: Reflections.....

apnii marzii se kahaaN apne safar ke ham hain

apnii marzii se kahaaN apne safar ke ham hain
ruKh havaaon kaa jidhar kaa hai udhar ke ham hain

pehle har chiiz thii apnii magar ab lagtaa hai
apne hii ghar mein kisii duusre ghar ke ham hain

vaqt ke saath hai miTTii kaa safar sadiyon tak
kisko maaluum kahaaN ke hain kidhar ke ham hain

chalte rahte hain ki chalnaa hai musaafir kaa nasiib
sochte rahte hain ki kis raahaguzar ke ham hain

gintiyon mein hii gine jaate hain har daur mein ham
har qalamakaar kii benaam khabar ke ham hain

  • by Nida Fazli

Re: Reflections.....

*ab to yahii hain dil kii duaayen *

ab to yahii hain dil kii duaayen
bhuulane waale bhuul hi jaayen

wajah-e-sitam kuchh ho to bataayen
ek mohabbat, laakh Khataayen

dard-e-mohabbat, dil mein chhupaayaa
aaNkh ke aaNsuu kaiise chhupaayen

hosh aur un kii diid kaa daawaa
dekhnewaalen, hosh mein aayen

dil ki tabaahii bhuule nahiin hum
dete hain ab tak unko du'aayen

rang-e-zamaanaa dekhnewaale
un kii nazar bhii dekhte jaayen

shuGl-e-mohabbat ab hai ye 'Taskeen'
sher kahen aur jii behalaayen

  • by Taskeen Qureshi

Re: Reflections.....

*apne Khvaabon mein tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa *

apne Khvaabon mein tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa
aaNkh khulate hii tujhe DhuuNDhne nikalaa hogaa

zindagii sirf tere naam se mansuub rahe
jaane kitane hii dimaaGon ne ye sochaa hogaa

dost ham us ko hii paiGaam-e-karam samjhenge
terii furqat kaa jo jalataa huaa lamhaa hogaa

daaman-e-ziist mein ab kuchh bhii nahiin hai baaqii
maut aaii to yaqiinan use dhokaa hogaa

raushnii jis se utar aaii lahuu mein mere
ai masiihaa vo meraa zaKhm-e-tamannaa hogaa

  • by Abbas Dana

Re: Reflections…

Nice one :k: