Korma Ghalib ka pasandeedah pakvaan tha…I need the recipe quickly!!! ![]()
Asif bhai kahir ae...Chacha ko maska lagana hai kya?
thoRa intezar kareiN....yooN to yaad nahiN na aa sakti (Koi bhi baat)
:)
oye howay bhabi kahan hai
http://www.pak.org/gupshup/confused.gif
main try karti hoon shayad
http://www.pak.org/gupshup/confused.gif
half a kilo gosht chicken/beef kay lya
- ek bari pyaz lal karain achi brown wali laal
- phir usay oil main say nikal kay akhbar par bicha dain until kay wo karak ho jai
- phir us ka choora kar lain
- is chooray ko blender main half a cup dahi, lehsan adraak one teaspoon, 2 timatar kay saath peesain
- is blend howay mixture ko oil main fry karain aur hisba ziaka namak,lal mirch, haldi, dhania, zeera, garam misala pissa howa add karain
- gosht bhi add karain
- bhoonain (main zara ziada bhooonti hoon) depends kay aap kay paas kitna stamina hay

- aur pani (agar chicken hay to thora sa aur agar beef hay to half cup pani) daal kar gosht galnay ka intezar karain
- garnish karain kati howi dhani aur hari mirch say
raitay kay lya dhania hari mirch namak aur cheeni podeena blend kar lain (kuch log cheeni nahi daltay )
salad ki bhi tarqeeb kia main hi bataon
http://www.pak.org/gupshup/mad.gif
kuch khud bhi dimagh laga lain
roti bazaar say lay aain
http://www.pak.org/gupshup/biggrin.gif
–<–@ In Life there are no problems, only solutions waiting to be found @–>–
[This message has been edited by Anchal (edited February 01, 2000).]
raita ek aur tarha ka bhi hota hay
zeeray ko taway par thori der bhonain
phir us ko akhbaar main lapait kar us par toot parain
http://www.pak.org/gupshup/biggrin.gif
ooops mera matlab hay kay us par belan say attack kar dain
agar wo dry wala blender hay to us main bhi kar saktay hain
pithi howi dahi main namak aur yeah zeera dal kar nosh farmain
Korma ki tarkeeb:
- Apni gaari mein baithein
- Kareebi pakistani restaurant mein jayein
- Korma order karein
- Haath dhoyein.
- Agar gosht ka khana hai tu "gosht ka korma" keh kay order karein.
- Agar murghi ka mood hai tu "murghi ka korma" keh kay order karein.
- Korma khaein.
- Haath dhoyein...moon bhi.
- Bill adaa karein. 10.Ghar jayein.
Ab kiya salad ka tareeka bhi mein bataoon? Kuch kaam khud bhi kar lo. :)
Asif,
Hmmm, bhabhi ko manana hai kya? ;)